Wo aaye wo baithe song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Wo aaye wo baithe
Wo aaye wo baithe
Mujhko pyar se dekha aise
Bhawra kali ko dekhe jaise
Ab ye baat kahu mai kaise
Maine kuchh na kaha
Maine kuchh na kaha
Wo aaye wo baithe


Mera ang nazar se chhina
Mera thar thar kapa man thama
Mere mukhede pe lat bikhrayi
Meri nas nas ne li angdai
Mai sharam se khul gayi aise
Jalti dhup me sabnam jaise
Ab ye baat kahu mai kaise
Maine kuchh na kaha
Maine kuchh na kaha
Wo aaye wo baithe


Aap ke dil me jo kuch hai
Kah dijiye na sharmate kyu hai
Unko dekha to dekhti hi rah gayi
Mai to sapno ko nadiya me bah gayi
Jab mujhko gale se lagaya
Tab yaad mujh ye aaya
Mai bhi kitani deewani
Kaisi kar baithi nadani
Lekin dil ne baat na mani
Maine kuchh na kaha
Maine kuchh na kaha
Wo aaye wo baithe


Wo aaye wo baithe
Mujhko pyar se dekha aise
Bhawra kali ko dekhe jaise
Ab ye baat kahu main kaise
Maine kuchh na kaha
Maine kuchh na kaha
Wo aaye wo baithe.