Tumhein aur kya doon main dil ke siwa song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by J. Om Prakash. This song was released on 01 Jan 1964.
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye

Muraadein hon poori, saje har tamanna
Mohabbat ki duniya ke tum chaand ban-na
Bahaaron ki manzil pe hansna hansana
Khushi mein hamaari bhi aavaz sun-na
Kabhi zindagi mein koi gham na aaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye

Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye

Mujhe jo khushi hai tumhein kya bataoon
Bhala dil ki dhadkan ko kaise chhipaoon
Kahin ho na jaaoon khushi se main paagal
Tumhein dekh kar aur bhi muskuraoon
Khuda diljalon ki nazar se bachaaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye

Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye

Sitaaron se ooncha ho rutba tumhara
Bano tum har ik zindagi ka sahara
Tumhein jis-se ulfat ho mil jaaye tumko
Samajh lo hamari dua ka ishara
Muqaddar tumhara sadaa jagmagaye
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye

Tumhein aur kya doon main dil ke siwa
Tumko hamari umar lag jaye
Tumko hamari umar lag jaye