Tum roothi raho main manata rahoon song is from and it is sung by and .It stars Rajendra Kumar and Vyjayanthimala in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by J. Om Prakash. This song was released on 01 Jan 1961.
Tum roothi raho main manata rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aata hai
Ki in adaaon pe aur pyaar aata hai
Thode shikwe bhi hon, kuchh shikayat bhi ho
Thode shikwe bhi hon, kuchh shikayat bhi ho
To maza jeene ka aur bhi aata hai
To maza jeene ka aur bhi aata hai

Haaye dil ko chura kar le gaya
Munh chhupa lena humse woh aapka
Munh chhupa lena humse woh aapka
Dekhna woh bigad kar phir hamein
Aur daanton mein ungli ka daabna
Aur daanton mein ungli ka daabna
O mujhe teri kasam yehi sama maar gaya
Isi jalwe pe tere donon jahaan haar gaya

Tum roothi raho main manata rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aata hai
In adaaon pe aur pyaar aata hai
Thode shikwe bhi hon, kuchh shikayat bhi ho
To maza jeene ka aur bhi aata hai
Maza jeene ka aur bhi aata hai

Yeh na samjho ki tumse door hoon
Yeh na samjho ki tumse door hoon
Tere jeevan ki pyaar bhari aas hoon
Tere jeevan ki pyaar bhari aas hoon
Chaand ke sang jaise hai chandni
Waise main bhi tere dil ke paas hoon
Waise main bhi tere dil ke paas hoon
Haaye woh dil nahi jo na dhadakna jaane
Aur dildaar nahin jo na tadapna jaane

Thode shikwe bhi hon, kuchh shikayat bhi ho
To maza jeene ka aur bhi aata hai
Maza jeene ka aur bhi aata hai
Tum roothi raho main manata rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aata hai
In adaaon pe aur pyaar aata hai

Chaahe koi dagar ho pyaar ki
Khatm hogi na teri meri daastan
Khatm hogi na teri meri daastan
Dil jalega to hogi roshni
Tere dil mein banaya maine aashiyaan
Tere dil mein banaya maine aashiyaan
O sharad poonam ki rang bhari chandni
Meri sab kuchh, meri taqdeer, meri zindagi

Tum roothi raho main manata rahoon
Ki in adaaon pe aur pyaar aata hai
In adaaon pe aur pyaar aata hai
Thode shikwe bhi hon, kuchh shikayat bhi ho
To maza jeene ka aur bhi aata hai
Maza jeene ka aur bhi aata hai