Tum agar saath dene ka vada karo song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1967.
Main yunhi mast nagame lutata rahoon
Tum mujhe dekh kar muskurati raho
Main tumhein dekh kar geet gata rahoon
Tum agar saath dene ka vada karo
Main yunhi mast nagame lutata rahoon

Kitne jalve fizaon mein bikhre magar
Maine ab tak kisi ko pukara nahin
Tumko dekha to nazrein yeh kehne lagin
Humko chehre se hatna ganwara nahin
Tum agar meri nazron ke aage raho
Main har ek sheh se nazrein churata rahoon
Tum agar saath dene ka vada karo
Main yunhi mast nagame lutata rahoon

Maine khwaabon mein barson tarasha jise
Tum wohi sang-e-marmar ki tasveer ho
Tum na samjho tumhara muqaddar hun main
Main samajhata hun tum meri taqdeer ho
Tum agar mujhko apna samajhne lago
Main baharon ki mehfil sajata rahoon
Tum agar saath dene ka vada karo
Main yunhi mast nagame lutata rahoon

Main akela bahut der chalta raha
Ab safar zindgani ka kat-ta nahin
Jab talak koi rangin sehra na ho
Waqt kaafir jawani ka kat-ta nahin
Tum agar humkadam banke chalti raho
Main zameen par sitare bichhata rahoon
Tum agar saath dene ka vada karo
Main yunhi mast nagame lutata rahoon
Tum mujhe dekh kar muskurati raho
Main tumhein dekh kar geet gata rahoon