Tujhe dekh kar jagwale par song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Tarachand Barjatya. This song was released on 12 Jan 1979.
Tujhe dekh kar jagwale par
Yakeen nahin kyun kar hoga
Tujhe dekh kar jagwale par
Yakeen nahin kyun kar hoga
Jiski rachna itni sundar
Woh kitna sundar hoga
Woh kitna sundar hoga

Tujhe dekhne ko main kya
Har darpan tarsa karta hai
Tujhe dekhne ko main kya
Har darpan tarsa karta hai
Jyun tulsi ke birwa ko
Har angan tarsa karta hai
Har angan tarsa karta hai
Ang ang tera ras ki Ganga
Ang ang tera ras ki Ganga
Roop ka woh saagar hoga
Jiski rachna itni sundar
Woh kitna sundar hoga
Woh kitna sundar hoga

Raag rang ras ka sangam
Aadharat prem kahani ka
Raag rang ras ka sangam
Aadharat prem kahani ka
Mere pyase man mein yoon utari
Jyun ret mein jharna paani ka
Jyun ret mein jharna paani ka
Apna roop dikhaane ko
Apna roop dikhaane ko
Tere roop mein khud ishwar hoga
Jiski rachna itni sundar
Woh kitna sundar hoga
Woh kitna sundar hoga
Woh kitna sundar hoga