Tu ganga ki mauj song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Prakash Pictures. This song was released on 10 Aug 1952.
Akeli mat jaiyo Radhe Jamuna ke teer

Ho ji ho
Tu ganga ki mauj, main Jamuna ka dhara
Tu Ganga ki mauj, main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara
Ho hamara tumhara rahega milan
Yeh hamara tumhara

Agar tu hai sagar to majhdhar main hoon
Majhdhar main hoon
Tere dil ki kashti ka patwaar main hoon
Patwaar main hoon
Chalegi akele na tumse yeh naiya
Na tumse yeh naiya
Milegi na manzil tumhein bin khewaiya
Tumhein bin khewaiya
Chale aao ji, chale aao ji
Chale aao maujon ka lekar sahara
Ho rahega milan yeh hamara tumhara

Bhala kaise tootenge bandhan yeh dil ke
Bandhan yeh dil ke
Bichhadti nahi mauj se mauj milke
Ho mauj milke
Chhupoge bhanwar mein to chhupne na denge
To chhupne na denge
Dubo denge naiya, tumhein dhoondh lenge
Tumhein dhoondh lenge
Banayenge hum, banayenge hum
Banayenge toofan ko ik din kinara
Ho rahega milan yeh hamara tumhara

Tu Ganga ki mauj, main Jamuna ka dhara
Tu Ganga ki mauj, main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara
Ho hamara tumhara rahega milan
Yeh hamara tumhara

Tu Ganga ki mauj, main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara
Ho hamara tumhara rahega milan
Yeh hamara tumhara
Tu Ganga ki mauj, main Jamuna ka dhara
Tu Ganga ki mauj, main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara tumhara