Tera kaha maine kiya song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Tera kaha maine kiya
Ab na kiya jaaye re haye
Tera kaha maine kiya
Ab na kiya jaaye re haye
Dekho mujhme raha kya
Jhoka koi hawa ka
Leke mujhe ud hi na jaaye


Tera kaha maine kiya
Ab na kiya jaaye re haye
Tera kaha maine kiya
Ab na kiya jaaye re haye
Dekho mujhme raha kya
Jhoka koi hawa ka
Leke mujhe ud hi na jaaye


Itna kaso na yeh bandhan
Ke bandhan yeh tut jaaye
Panchi se khelo na aise
Ke hatho se chut jaaye
Sun ke meri baate
Kyu hai bekarar hai
Sunle dildar sunle
Yeh shikwa hai pyar ka
Kahe mere dil ko jalaye
Tera kaha maine kiya
Ab na kiya jaaye re haye
Dekho mujhme raha kya
Jhoka koi hawa ka
Leke mujhe ud hi na jaaye


Kuch hone wala ho aise
Tadapti hai damini
Mausam ne chhedi ho
Jaise toofano ki ragini
Aur aise mausam mein
Tujhse kya kahu yeh haye
Chhoti si naiya bhi
Toofano se khel jaaye
Jiya tera bhi dagmagaye
Tera kaha maine kiya
Ab na kiya jaaye re haye
Dekho mujhme raha kya
Jhoka koi hawa ka
Leke mujhe ud hi na jaaye.