Taro ki toliyo ye kaisa hai song is from and it is sung by and .It stars Dilip Kumar and Mumtaz Shanti in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Ram Daryani. This song was released on 01 Jan 2018.
taaro ki toliyon pe kaisa hai ye nikhaar
taaro ki toliyon pe kaisa hai ye nikhaar
hai kiska intezaar, hai kiska intezaar
hai kiska intezaar, hai kiska intezaar

taaro ki toliyon pe kaisa hai ye nikhaar
hai kiska intezaar, hai kiska intezaar

aasmaan pe aaj ek mehmaan aayega
vo nur sari duniya pe apna luteyega
aasmaan pe aaj ek mehmaan aayega
vo nur sari duniya pe apna luteyega
nikla nahi hai chand sitaare hai bekraar
nikla nahi hai chand sitaare hai bekraar
hai kiska intezaar, hai kiska intezaar
chanda ka intezaar, hai chanda ka intezaar
taaro ki toliyon pe kaisa hai ye nikhaar
hai kiska intezaar, hai kiska intezaar

har saans mera nagma, dhadkan meri tarana
har saans mera nagma, dhadkan meri tarana
khamosh thi vo baate, khamosh ka satana
khamosh thi vo baate, khamosh ka satana
baj raha apne aap dil ka taar taar
baj raha apne aap dil ka taar taar
hai kiska intezaar, hai kiska intezaar
chanda ka intezaar, hai chanda ka intezaar
taaro ki toliyon pe kaisa hai ye nikhaar
hai kiska intezaar, hai kiska intezaar