Svapn jhade phuul se, miit chubhe shuul se song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by R. Chandra. This song was released on 15 Jun 1965.
svapn jhade phuul se, miit chubhe shuul se
lut gaye shrringaar sabhii, baag ke babuul se
aur ham khade khade, bahaar dekhate rahe
kaaravaan guzar gayaa, gubaar dekhate rahe
aankh bhii khulii na thii ki haaya dhuup dhal ga_ii
paanv jab talaq uthe ki zindagii fisal ga_ii
paat paat jhad gae ki shaakh-shaakh jal ga_ii
chaah to nikal sakii (na par umar nikal ga_ii) - 2)
giit ashk ban gae, svapn ho dafan gae
saath ke sabhii diye, dhuaan pahan-pahan gae
aur ham jhuke-jhuke, mod par ruke-ruke
umr kii chadhaav kaa utaar dekhate rahe, kaaravaan guzar
kyaa shabaab thaa ki phuul phuul pyaar kar uthaa
kyaa kamaal thaa ki dekh aainaa sihar uthaa
is taraf zamiin aur aasamaan udhar uthaa
thaamakar jigar uthaa (ki jo milaa nazar uthaa) - 2)
par tabhii yahaan magar, aisii kuchh havaa chalii
lut ga_ii kalii kalii ki ghut ga_ii galii galii
aur ham lute-lute, vaqt se pite-pite
shaam kii sharaab kaa khumaar dekhate rahe, kaaravaan guzar
haath the mile ke zulf chaand kii savaar duun
honth the khule ke har bahaar ko pukaar luun
dard thaa diyaa gayaa ke har dukhii ko pyaar duun
aur saans yuun ke svarg, (bhuumi par utaar duun - 2)
ho sakaa na kuchh magar, shaam ban ga_ii sahar
vo uthii lahar ke dhah gaye kile bikhar bikhar
aur ham dare dare, niir nain men bhare
odh kar kafan pade mazaar dekhate rahe, kaaravaan guzar
maang bhar chalii ke ek jab na_ii na_ii kiran
dhol se dhunak uthii thumak uthe charan charan
shor mach gayaa ke lo chalii dulhan chalii dulhan
gaanv sab umada padaa, (bahak uthe nayan nayan - 2)
par tabhii zahar bharii gaaz ek vah girii
puunchh gayaa sinduur taar taar huii chunarii
aur ham ajaan se, duur ke makaan se
paalakii liye huye kahaar dekhate rahe, kaaravaan guzar
svapan jhade phuul se, miit chubhe shul se
lut gaye shrringaar sabhii baag ke babuul se
aur ham khade khade bahaar dekhate rahe
kaaravaan guzar gaya gubbaar dekhate rahe