Suno suno ae duniya waalon song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1948.
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahaani
Woh bapu jo pujya hai
Itna jitna ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Porbandar gujarat desh mein
Ek rishi ne janam liya
Maat pitah ne mohandas
Karamchand gandhi naam diya
Bachpan khelkood mein gujra
London jaakar vidya payee
Barristor ban africa mein
Jaakar apni dhaak jamaayee
Lekin jo phaani duniya mein
Amar kahaane aate hai
Woh kab maaya moh mein
Phanskar apna samaa ganwaate hai
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahaani


Africa mein hindi jan ki
Badi durdasha payee
Gore raaj se takkar lekar
Satya ki jyot jalaayee
Phir bharat ki seva karne
Apne desh mein aaya
Sabarmati mein satyaagrah ka
Aashram aan banaaya
Aur khilafat kranti prant mein
Sabhapati ka darjah paya
Islami adhikaar ki raksha
Mein bhi haath bataya
Hindu muslim dono
Uski aankhon ke taare thhe
Duniya ke saare hi
Mazhab bapu ko pyaare the
Suno suno aye duniya
Waalon bapu ki ye amar kahani


Bharat kaumi congress ki
Aisi dhoom machaayee
Kaumi jhande ke neeche
Phir janta daudi aayee
Khadi ka parchaar kiya
Phir ghar ghar khaadi aayee
Aur bideshi maal ki holi
Gandhi ne jalwaayee
Charkhe ki awaaz jo goonjee huyi
Machine thandee
Aur shaan se lahraayee
Bharat ki trirangee jandee
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Woh bapu jo pujya hai itna
Jitna ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani.