Suno haal meri zindagi ka song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1971.
Mujhe pyaar mila na kisi ka
Suno haal meri zindagi ka
Mujhe pyaar mila na kisi ka
Suno haal meri zindagi ka
Mujhe pyaar mila na kisi ka

Badnaam kiya duniya ne mujhe
Aur naam diya to awara
Badnaam kiya duniya ne mujhe
Aur naam diya toh awara
Apnon ne mujhe thukra bhi diya
Phir bhi main nahi himmat hara
Maine to badhaya hath sada
Maine to badhaya hath sada
Duniya ki taraf dosti ka
Mujhe pyaar mila na kisi ka
Suno haal meri zindagi ka
Mujhe pyaar mila na kisi ka

Gham ko bhi lagaya maine gale
Aur hansta raha har mushkil mein
Gham ko bhi lagaya maine gale
Aur hansta raha har mushkil mein
Samjha na kisi ne apna mujhe
Hai daag yehi mere dil mein
Shikwa na kiya maine to kabhi
Shikwa na kiya maine to kabhi
Aye maalik teri berukhi ka
Mujhe pyaar mila na kisi ka
Suno haal meri zindagi ka
Mujhe pyaar mila na kisi ka
O mujhe pyaar mila na kisi ka
O mujhe pyaar mila na kisi ka