Shuruwat song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.

Paisa shohrat, ye dono musibat
Ye na sab ki kismat
Ye bas uss ki kismat
Jisne ki hai zehmat
Uspe Rabb ki rehmat
Jisne ki hai mehnat
Jisne ki hai mehnat

Kahan se karu shuruwat
Unn bheed se bhari tang galiyon se
Jahaan per pala bada ghumma un galiyon se
Ya rishtedaron ki galiyon se
Ya kaam se milli mujhe taliyon se
Ya kabhi toot ke rone wali ankhon se

Ya duniya jeet lene wali baaton se
Ya unn raaton se
Jinn raat soyeya nahi
Aur likh dala itihaas inn haathon se

Main shuru se shuruwat karta hun
Ik aam ghar ka main ladka hun
Kar dinn dugne raat chogni
Pariwar ko khush main rakhta hun
Apne dum pe bana apne dum pe kara
Jo bhi kiya maine liya kisi ka sahara nahi

Milta hai mauka ek baar
Mera mauka khone ka irada nahi
Main isse kam usse zyada nahi

Main hoon poora khel
Main khel ka peyada nahi
Hona gareeb paida kismat
Maroon bhi gareeb
Toh milli zindagi ka fayeda nahi
Jo bhi karun main karun main seena thok ke
Kisi se main darun kiya aisa koi kaam nahi

Jo bhi mili safalta
Uss safalta ke piche

Mere pitaji ka naam nahin
Log milte hai papa se
Kehte hai ladke ne
Kaam se patyal ji naam hai kiya
Sach bolun toh isse badd kar
Ikka ke liye koi inaam nahin

Paisa shohrat, ye dono musibat
Ye na sab ki kismat
Ye bas uss ki kismat
Jisne ki hai zehmat
Uspe Rabb ki rehmat
Jisne ki hai mehnat
Jisne ki hai mehnat

Mushkil se mushqil ko hull kiya
Kiya aaj maine na kal kiya
Ki hai maine jee todd mehnat
Naa aaram ek pal kiya

Huyi mujh se bhi kaafi dekho galtiyan
Galtiyon se apni seekh li
Jo banaya maine khud hai banaya
Na phailake haath maine bheekh li

Meri gareebi thi mera motivation
Kharaab thi situation
Maine halaat ko maat di
Apni banayi kuch reputation

Maine khud pe yakeen kiya
Kiya yakeen apni udaan pe
Himmat se kaam liya chodi na umeed
Nahi toh betha hota baap ki dukaan pe

Paisa shohrat, ye dono musibat
Ye na sab ki kismat
Ye bas uss ki kismat
Jisne ki hai zehmat
Uspe Rabb ki rehmat
Jisne ki hai mehnat
Jisne ki hai mehnat