Sawan aaya sajan nahi aaya song is from and it is sung by .It stars Khursheed, Hamida Banu and Mukesh in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Chaturbhuj Doshi. This song was released on 01 Jan 2018.
sawan aaya
sawan aaya, saajan nahi aaya re
daiya daiya
sawan aaya, saajan nahi aaya re
daiya daiya
jane kisne
jane kisne, saajan ko churaya re
daiya daiya
jane kisne, saajan ko churaya re
daiya daiya

jo saajan ko main paati, nadi kinare le jaati
jo saajan ko main paati, nadi kinare le jaati
muskati ithlati itrati, muskati ithlati itrati
sawan ke main geet sunati
sawan ke main geet sunati
jo saajan ko paati, par haye
sawan aaya, saajan nahi aaya re
daiya daiya

saajan mere uthte suraj, main badli madmaati
saajan mere uthte suraj, main badli madmaati
rang birangi odh chunariya, main un par chha jaati
rang birangi odh chunariya, main un par chha jaati

main hawa sang ud jaati
main hawa sang ud jaati
jo saajan ko main pati
jo saajan ko main pati, par haye
sawan aaya, saajan nahi aaya re
daiya daiya, saajan aaya