Sahma sahma song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Dec 2009.
Ek sehame huye khayaal ko
Vishwaas ka chola pehnaakar
Aankhon ki putaliyon mein basa rakha hai
Darr lagata hai rone se
Kahin aansu bankar yeh
Inn nainan se chhalak na pade
Hum sirf vishwaas


Sehama sehama sehama sehama….
Sehama sehama sa hai nadiya ka paani
Sehama sehama sehama sehama….
Sehama sehama sa hai nadiya ka paani
Siskiyon mein dhak gayi isaki rawaani
Sehama sehama sa hai nadiya ka paani


Parbaton ko chhedkar pighalati thi kabhi
Kinaaron ko jitkar uchhalati thi kabhi
Parbaton ko chhedkar pighalati thi kabhi
Kinaaron ko jitkar uchhalati thi kabhi
Suraj ko nehalaakar chaand ko behalaakar
Saagar se milane nikalati thi nadi
Phir aaya sailaab ram gayi usame deewaani
Lutkar le gaya maasum usaki jawaani
Sehama sehama sa hai nadiya ka paani


Mere jajbaat ka aaina hai paani
Ranj mein khushi mein
Har dum chhalakata hai paani
Mere jajbaat ka aaina hai paani
Ranj mein khushi mein
Har dum chhalakata hai paani
Khushi ko bhigokar ghum ko dubokar
Apani hi dhun mein behata jaaye paani
Tham jaaye yeh lahun bhi kahin
Saans na le paayein jivan ki dhaara
Behata yeh paani.