Safar song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Gauri Khan. This song was released on 04 Aug 2017.

Ab na mujhko yaad beeta
Main toh laamhon mein jeeta
Chala ja raha hoon
Main kahan pe ja raha hoon
Kahan hoon?

Iss yakeen se main yahaan hoon..
Ki zamana yeh bhala hai
Aur jo raah mein mila hai
Thodi door jo chala hai
Woh bhi aadmi bhala tha pata tha..
Zara bas khafa tha

Woh bhatka sa raahi mere gaanv ka hi
Woh rasta purana jise yaad aana
Zaruri tha lekin jo roya mere bin
Woh ek mera ghar tha
Puraana sa darr tha

Magar ab na main apne ghar ka raha

Safar ka hi tha main safar ka raha

Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha (x2)

Main raha oh o..
Main raha oh o..
Main raha..

Neel patthron se meri dosti hai
Chaal meri kya hai raah jaanti hai
Jaane rozana, zamana wohi rozana

Shehar shehar fursaton ko bechta hoon
Khaali haath zyada khaali laut'ta hoon
Aise rozana.. rozana khud se begana

Jabse gaanv se main shehar hua
Itna kadva ho gaya ki zehar hua
Main toh rozana
Na chaha tha yeh ho jaana maine

Yeh umrr, waqt, raasta guzarta raha
Safar ka hi tha main safar ka raha

Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha (x2)

Main raha oh o..
Main raha oh o..
Main raha..

Safar ka hi tha main safar ka raha