Sach bataa tuu mujh pe fidaa song is from and it is sung by and .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Ismat Chughtai. This song was released on 31 Dec 1958.
sach bataa tuu mujh pe fidaa, are, kyuun huaa aur kaise huaa
maar ga_ii terii baankii adaa yuun huaa aur aise huaa
sach bataa tu mujh pe fidaa
naazaniin main hii nahiin hain yahaan laakhon hasiin
(mujhase hii tujhe pyaar kyuun huaa
dil pe nazaron kaa vaar kyuun huaa) - 2
maar ga_ii terii baankii adaa
saanvalii suurat terii, mohanii muurat terii
(terii dhun mujhe be-sabab nahiin
aur jalavon me ye gazab nahiin) - 2
maar ga_ii terii baankii adaa
shukariyaa, ai meharabaan, mil gaye mujhe do jahaan
(besaharaa thi tum nahiin mujhe
aaj duniyaa kaa gam nahiin mujhe) - 2
sach bataa tuu mujh pe fidaa, are, kyuun huaa aur kaise huaa
maar ga_ii terii baankii adaa yuun huaa aur aise huaa