Pyar ke daman se lipte ham kaha tak aa gaye song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Basant. This song was released on 01 Jan 2018.
pyar ke daman se lipte, hum kaha tak aa gaye
hum najar tak chahte the, tum to dil par chha gaye
pyar ke daman se, lipte hum kaha tak aa gaye
hum najar tak chahte the, tum to dil par chha gaye
pyar ke daman se lipte

ik sunehri raat ka saya hamare sar pe hai
ik sunehri raat ka saya hamare sar pe hai
bichh gayi raaho me kaliya
dil hasi manjar pe hai
aaj apni hi ada se, aap kyu sarma gaye
hum najar tak chahte the, tum to dil par chha gaye
pyar ke daman se lipte

kya hua jadu, jami par ab nahi padte kadam
kya hua jadu, jami par ab nahi padte kadam
pyar ke najuk paro par
ud rahe do dil sanam
ek najar me hum jami se, aasma tak aa gaye
hum najar tak chahte the, tum to dil par chha gaye
pyar ke daman se lipte

jane ja ja ki kasam
tum par ye ja kurban hai
jane ja ja ki kasam
tum par ye ja kurban hai
tauba tauba aapki bato se
dil hairan hai, raaz dil ke aaj aakhir
is juba tak aa gaye
hum najar tak chahte the, tum to dil par chha gaye
pyar ke daman se lipte