Pari ho aasmani tum song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 05 Feb 1982.
Kya ishq ne samjha hai, kya husn ne jaana hai
Hum khaak nasheeno ki thokar mein zamana hai
Pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai

Pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai
Pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai
Pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai
Haan pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai
Mohabbat kaise karte hain haan
Mohabbat kaise karte hain
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai

Haan mohabbat kaise karte hain
Karte hain kaise mohabbat
Haan haan mohabbat kaise karte hain
Karte hain kaise mohabbat
Kaise karte hain mohabbat dikhana hai
Dikhana hai, dikhana hai
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai
Pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai

Usne kaha tu kaun hai, maine kaha shaida tera
Usne kaha takta hai kya, maine kaha surat teri
Usne kaha kya chaahiye, maine kaha ulfat teri
Usne kaha mumkin nahi, maine kaha yunhi sahi
Usne kaha mumkin nahi, maine kaha yunhi sahi
Ho meri tamanna dilbar jaana
Khel nahi hai, ishq hai
Arre saaye mein talwar ke aana
Khel nahi hai, ishq hai
Yoon hosh gawana, ishq hai
Yeh haal banana, ishq hai
Is dar tak aana, ishq hai
Awaaz lagana, ishq hai
Yoon hosh gawana, yeh haal banana
Is dar tak aana, sadaa lagana, ishq hai, ishq hai

Ishq woh naghma sunke jise
Aji ishq woh naghma sunke jise
Mehlon ke parde jalte hain
Mehlon ke parde jalte hain
Aji ishq woh naghma sunke jise, sunke jise
Woh naghma sunke jise, sunke jise
Mehlon ke haan haan!
Mehlon ke parde jalte hain, jalte hain, jalte hain
Jalte hain, jalte hain, jalte hain
Tum to chale aaoge, aye ji tum to chale aaoge
Aise aag pe jaise chalte hain
Aag pe jaise chalte hain
Aag pe jaise chalte hain
Haan karo na meharbani tum
Magar tumko to pana hai
Haan karo na meharbani tum
Magar tumko to pana hai
Mohabbat kaise karte hain haan ji
Mohabbat kaise karte hain
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai

Laaya tha main daag-e-jigar
Tumne to dekha bhi nahi
Aaya tha main kis pyar se
Tumne to poochha bhi nahi
Patthar laga jab Qais ko
Mash.hoor-e-alam ho gaya
Patthar laga jab Qais ko
Mash.hoor-e-alam ho gaya
Zakhmi hua Farhad to
Duniya mein maatam ho gaya
Zakhmi hua Farhad to
Duniya mein maatam ho gaya
Ho mera zakhm koi kya zaane
Jo seene ke neeche hai
Mujhpe teer chalaane waala
To parde ke peechhe hai
Woh parda nasheen hai, parde mein
Woh zohra jabeen hai, parde mein
Woh sabse haseen hai, parde mein
Woh aaj yahin hai, parde mein
Woh parda nasheen, woh zohra jabeen
Woh sabse haseen, woh aaj yahin hai
Parde mein

Ab dikhlaaye jo bhi nazar
Aji ab dikhlaaye jo bhi nazar
Woh aaj deewana dekhega
Woh aaj deewana dekhega
Ab dikhlaaye jo bhi nazar
Jo bhi nazar dikhlaaye
Jo bhi nazar
Jo bhi nazar dikhlaaye haan
Deewana aaj dekhega dekhega
Dekhega dekhega dekhega dekhega
Phir jab meri shaam sajegi
Arre phir jab meri shaam sajegi
Saara zamana dekhega, sara zamana dekhega
Sara zamana dekhega

Haan chhupo aye yaar jaani tum
Magar tumko to pana hai
Haan chhupo aye yaar jaani tum
Magar tumko to pana hai
Mohabbat kaise karte hain haan ji
Mohabbat kaise karte hain
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai

Pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai
Aah pana hai tumko pana hai
Pana hai tumko pana hai
Pana hai tumko pana hai
Ho pari ho aasmani tum magar tumko to pana hai
Pana hai tumko pana hai
Pana hai tumko pana hai

Mehzabeen haaye aaha
Nazneen haaye aaha
Mehzabeen, nazneen aaha
Mehzabeen, aye haseen
Mehzabeen, nazneen, aye haseen
Tumko to pana hai
Pana hai tumko to pana hai
Pana hai tumko pana hai
Pana hai tumko pana hai
Mohabbat kaise karte hain
Mohabbat kaise karte hain
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai
Zamane ko dikhana hai, zamane ko dikhana hai