Paniya bharan radha aayi song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Paniya bharan radha aayi jamuna tat pe
Natkhat kanhaiya ne ghera
Paniya bharan radha aayi jamuna tat pe
Natkhat kanhaiya ne ghera
Bansi bajaaye ke apna banaaye ke
Mann mein lagaaya re dera
Ae ji ae ji mann mein lagaaya re dera
Haaye ram natkhat kanhaiya ne ghera


Dekha jo aate brindaban ka chhaliya
Dhadka jiyara chhanki re paayaliya
Dekha jo aate brindaban ka chhaliya
Dhadka jiyara chhanki re paayaliya
Batiyaan banaaye ke akhiyaan lajaaye ke
Sakhiyon ne radha ko chheda
Ae ji ae ji sakhiyon ne radha ko chheda
Paniya bharan radha aayi jamuna tat pe
Natkhat kanhaiya ne ghera
Haaye ram natkhat kanhaiya ne ghera


Radha ke sainyaan ne chhedi wo taanen
Sakhiyaan bhi saath ganwaa baithi re jaanen
Radha ke sainyaan ne chhedi wo taanen
Sakhiyaan bhi saath ganwaa baithi re jaanen
Thoda bharmaaye ke thoda muskaaye ke
Sab ne kaha wo hai mera
Ae ji ae ji sab ne kaha wo hai mera
Paniya bharan radha aayi jamuna tat pe
Natkhat kanhaiya ne ghera
Haaye ram natkhat kanhaiya ne ghera


Na na hi karti rahi rahi bechari radha
Kaanha ne le hi liya preeti ka waada
Na na hi karti rahi rahi bechari radha
Kaanha ne le hi liya preeti ka waada
O matki giraaye ke maakhan churaaye ke
Bhaaga re chor luteraa
Ae ji ae ji bhaaga re chor luteraa
Paniya bharan radha aayi jamuna tat pe
Natkhat kanhaiya ne ghera
Haaye ram natkhat kanhaiya ne ghera