Paanch rupaiya baara aana song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Anoop Sharma. This song was released on 01 Jan 1958.
Main sitaron ka tarana
Main baharon ka fasana
Leke ik angdai mujh pe
Daal nazar ban ja deewana

Main sitaron ka tarana
Main baharon ka fasana
Leke ik angdai mujh pe
Daal nazar ban ja deewana

Roop ka tum ho khazana
Tum ho meri jaan yeh mana
Lekin pehle de do mera
Paanch rupaiya baara aana
Paanch rupaiya baara aana
Marega bhaiya na na na na aa..

Maal-o-dar bhoolkar dil jigar
Humse nishani maango na
Dilruba kya kaha dil jigar
Kya hai jawani maango na
Tere liye Majnu ban sakta hoon
Laila Laila kar sakta hoon
Chaahe namoona dekh lo haaye
Khoon-e-dil peene ko aur
Lakht-e-jigar khane ko
Khoon-e-dil peene ko aur
Lakht-e-jigar khane ko
Yeh giza milti hai Laila
Yeh giza milti hai Laila
Tere deewane ko
Tere deewane ko

O ho ho josh-e-ulfat ka zamana
Laage hai kaisa suhana
Leke ik angdai mujh pe
Daal nazar ban ja deewana
Manta hoon hai suhana
Josh-e-ulfat ka zamana
Lekin pehle de do mera
Paanch rupaiya baara aana
Paanch rupaiya baara aana
Marega bhaiya na na na na aa..

Gham bhula saaj uthaa
Raag mere roop ke tu gaaye ja
Aye dilruba, hoye dilruba
Haan isi andaz se farmaye ja
Geet suna sakta hoon dadra
Ginkar poore baara maatra
Chaahe namoona dekh lo haaye
Dheere se jana bagiyan mein
Dheere se jana bagiyan mein re
Bhanwra dheere se jana bagiyan mein
Hoye lalla dheeng lalla
Hoye lalla haaye

O ho ho tu kalaa ka hai deewana
Kam hai kya tujhko bahana
Leke ik angdai mujh pe
Daal nazar ban ja deewana
Haan yeh achchha hai bahana
Main kalaa ka hoon deewana
Lekin pehle de do mera
Lekin pehle de do mera
Paanch rupaiya baara aana
Paanch rupaiya baara aana
Marega bhaiya na na na na aa..

Bekhabar pyaar kar
Dhan ki duniya kya hai dhalti chhaya hai
Haaye haaye haaye dilruba sach kaha
Saanch tera pyaar baaki maya hai
Tere liye jogi ban sakta hoon
Jangle jangle phir sakta hoon
Chaahe namoona dekh lo haaye
Bummakak bin, bummakak bin
Bummakak bin, bum bummakak
Teri gathri mein laga chor musafir
Jaag zara, tu jaag zara
Teri gathri mein laga chor musafir
Jaag zara, tu jaag zara
Teri gathri mein laga chor chor

O ho ho main hoon teri jaan-e-jana
Aa mujhi se lau lagana
Leke ik angdai mujh pe
Daal nazar ban ja deewana
Jai guru maine yeh mana
Tu hai meri jaan-e-jana
Lekin pehle de do mera
Ek dui tran char paanj
Paanch rupaiya baara aana
Paanch rupaiya baara aana
Marega bhaiya na na na na aa..

Paanch rupaiya baara aana
Baara aanam.. baara aana..