O ban ke aazad panchi song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1948.
O ban ke aazad panchi bhul ja bhul ja
O ban ke aazad panchi
Madhuban mein chahakna bhul ja
Madhuban mein chahakna bhul ja bhul ja


Kaun kasak jane tere man ki
Peer kise bandi jeevan ki
Pinjre mein tu rahne par bhi
Pinjre mein tu rahne par bhi
Pankho ka fadakna bhul ja
Pankho ka fadakna bhul ja bhul ja
O ban ke aazad panchi


Phool pat ke rang bhul ja
Khil uthne ke dhag bhul ja
Lata kunj ki yaad bhul kar
Lata kunj ki yaad bhul kar
Dali pe fudakna bhul ja
Dali pe fudakna bhul ja bhul ja
O ban ke aazad panchi


Band hua hai tu pinjre mein
Tadpa kar ab dil hi dil mein
Chahe jitna dard uthe
Chahe jitna dard uthe
Peeda se sisakna bhul ja
Peeda se sisakna bhul ja bhul ja
O ban ke aazad panchi.