ए-नाज़ के मारों का हाल क्या होगा - nigaah-e-naaz ke maaron kaa haal kyaa hogaa song is from and it is sung by , and .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by R. Chandra. This song was released on 01 Jan 1960.
adaa bijalii, badan sholaa, bhanve khanjar, nazar qaatil
galat kyaa hai hamen kahatii hai ye duniyaa agar qaatil
to phir
nigaah-e-naaz ke maaron kaa haal kyaa hogaa
na bach sake to bechaaron kaa haal kyaa hogaa
hamii ne ishq ke (zaraa dekho) qaabil banaa diyaa hai tumhe
hamii na ho to nazaaron kaa haal kyaa hogaa
hamaare husn kii bijalii chamakne vaalii hai
na jaane aaj hazaron kaa haal kyaa hogaa
bahaar-e-husn salaamat khizaa se puuchh zaraa
kyaa? ke chaar din men bahaaron kaa haal kyaa hogaa
rang par naaz na kar kyon kii rang badal jaataa hai
ye vo mahamaan hai jo aaj aataa hai kal jaataa hai
ishq par naaz kare ko_i to kuchh baat bhii hai
husn kaa naaz hii kyaa, husn to dhal jaataa hai
bahar-e-husn salaamat khizaa se puuchh zaraa
ke chaar din men bahaaron kaa haal kyaa hogaa
## tarana ##
ham apane chehare se padraa uthaa to de lekin
gariib chaand-sitaaron kaa haal kyaa hogaa
muqaabalaa hai to phir der kyaa hai tiir chalaa