Nazar hai badli badli si song is from and it is sung by and .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Swaran Singh Kanwar. This song was released on 01 Jan 2018.
Aap chehre pe chada
Lijiye lakho chehre
Asli chehre ko chupana to
Bahut muskil hai
Badaliya dhap to sakti hai
Chand surat ko
Unki kirno ko dabana
To bahut mushkil hai


Najar hai badli badli si
Ada hai jani pahchani
Najar hai badli badli si
Ada hai jani pahchani
Tujhe hum man gaye man gaye
Man gaye jani
Najar hai badli badli si
Ada hai jani pahchani


Kabhi anjani surat bhi
Hame lagti hai pahchani
Kabhi anjani surat bhi
Hame lagti hai pahchani
Magar ye wo nahi wo nahi
Wo nahi rani
Najar hai badli badli si
Ada hai jani pahchani


Hum jami pe rahke
Sitaro ki khabar rakhte hai
Jism hai shishe ka
Pathar ka jigar rakhte hai
Dhokha kha jaye najar apni
Ye mumkin hi nahi
Tadpe wale kayamat ki
Najar rakhte hai
Ke sach par jhuth ka parda
Girana to hai nadani
Ke sach par jhuth ka parda
Girana to hai nadani
Tujhe hum man gaye man gaye
Man gaye jani
Kabhi anjani surat bhi
Hame lagti hai pahchani


Aapka andaza mana ke
Bahut achha hai
Aapne aankho ko aayina
Bana rakha hai
Par jo dharti se gagan
Milta najar aata hai
Wo najar ka nahi dhokha
To fir kya hai
Khuda jane tumse kis bat par
Hai itni hairani
Khuda jane tumse kis bat par
Hai itni hairani
Magar ye wo nahi wo nahi
Wo nahi rani
Najar hai badli badli si
Ada hai jani pahchani


Yaki na aayega hamko
Kabhi aisi dalilo se
To jakar mashwara kar lijiye
Apne wakilo se
Jarurat kya bhala hamko
Kisi se mashware ki hai
To fir man lo chup chap
Ke ye aur koi hai
Magar ye jhuth hai sada
To fir layo sabut iska
Wahi ye nak naksha hai
Khuda ne sabko baksha hai
Kamar bhi patli hai waisi
Milegi lakho ki aisi
Lachakti chal me masti
Jawani mein rahe sabki
Hame nadan samjhte ho
Aji kyu gussa karte hai


Ye parda chak kar denge
Irada khak kar denge
Ye parda chak kar denge
Irada khak kar denge
Humse jo jeet sake
Aisa jamane mein nahi
Har ka jikar kahi
Apne fasane mein nahi
Kaha ab kuchh to
Pachtana padega tujhko diwani
Kaha ab kuchh to
Pachtana padega tujhko diwani
Magar ye wo nahi wo nahi
Wo nahi rani
Kabhi anjani surat bhi
Hame lagti hai pahchani.

More songs from Maha Badmaash (1977)