Naamkaran title song song is from and it is sung by . This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.

Aye zindagi katra hoon main
Ya main hun dariya tumhara
Aye zindagi zarra hoon main
Ya main hun saara zamana

Ik baar aankhen milake bata toh
Kya naam hai mera
Chaand hoon main ya chand ka tukda
Ya main hun daag tumhara

Aye zindagi katra hoon main
Ya main hun dariya tumhara
Aye zindagi zarra hoon main
Ya main hun saara zamana

Main chadhta sawera
Ya hun kaali raat
Ya mitt mitt ke banti huyi kaaynat
Main girta sitaara hoon
Ya hoon falak ya waqt ki
Aankhon se tutti palak

Hai ugte suraj ki mujh mein tapish
Hai jalti sitaaro ki mujh mein khalish
Ya mitti ka chhota sa main hoon diya
Maane se re raaz roshan kiya

Aye zindagi main roshni
Ya main andhera tumhara
Aye zindagi main hoon marham
Ya zakhm main hoon purana

Ik baar aankhen milake bata toh
Kya naam hai mera
Chaand hoon main ya chand ka tukda
Ya main hun daag tumhara

Ae zindagi katra hoon main
Ya main hun dariya tumhara
Ae zindagi zarra hoon main
Ya main hun saara zamana

Main mitti mein hoon
Main chattano mein bhi
Main oas mein hoon
Main tufaano mein bhi
Ik naam mein kaise sama paaungi
Main banjar mein hoon
Main baharon mein bhi

Main vaani gurbaani azaano mein bhi
Main vedon mein hun
Main quraan mein bhi
Ek dhaam mein kaise sama paaungi

Main gumbad mein hoon
Main minaaron mein bhi

Ae zindagi main hi Alef
Main Omkara tumhara
Ae zindagi main hi khudi
Main khudara tumhara

Ik baar aankhen milake bata toh
Kya naam hai mera
Chaand hoon main ya chand ka tukda
Ya main hun daag tumhara

Aye zindagi katra hoon main
Ya main hun dariya tumhara
Aye zindagi zarra hoon main
Ya main hun saara zamana

Iktara Meera ka, doha Kabire ka
Iktara Meera ka, Doha Kabire ka
Main khaali pyala hun pagle fakire ka
Aaghaaz koi na anjaam hai
Mera toh koi bhi nahi naam hai

Toh kyun tu tere rakhwaale
Ghera lagate hain
Rasmon ke pinjre mein qaid karaate hain

Kyun daam dhete hain thappa lagaate hain
Mujhse kyu main ki jung karaate hain
Jung karaate hain, jung karaate hain

Main behti nadi hoon mujhe behne do
Main pal pal saddi hoon mujhe rehne do
Dhaara ki tarah main zameenon mein
Main dhool ki tarah
Main hoon aasmaano mein

Teri hi beti hoon ae zindagi
Mitaaye mitungi na
Main do jahano se

Ae zindagi tu hai meri
Main hoon sirhana tumhara
Ae zindagi ik sach yehi
Baaki hai jhoota fasana

Ik baar aankhen milake to maano
Nahi koi naam mera
Nahi koi naam mera
Nahi koi naam mera

Namkaran
Nahi koi naam mera
Namkaran
Nahi koi naam mera

Naamkaran
Nahi koi naam mera
Naamkaran
Nahi koi naam mera