Na wo hamare na dil hamara song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Abdul Rashid Kardar. This song was released on 16 Jun 1953.
Na wo hamaare na dil hamaaraa aaa
Kahin bhi apna nahin thhikaanaa
Kahin bhi apna nahin thhikaanaa
Kahin bhi apna nahin thhikaanaa


Ye kisko maaloom thhaa banegaa aaa
Ye kisko maaloom thhaa banegaa
Paraayi daali pe aashiyaanaa
Paraayi daali pe aashiyaanaa
Kahin bhi apna nahin thhikaanaa


Khushi muhabbat ki khwaab nikli
Hamaari qismat kharaab nikli
Na gham bure hain na wo buri hai
Agar buraa hai to hai zamaanaa
Agar buraa hai to hai zamaanaa
Kahin bhi apna nahin thhikaanaa


Hamin ko apna banaa rahe thhey
Hawaa mein deepak jalaa rahey thhey
Ye kyaa khabar thhi
Khushi hai jhoothhi
Galat hai ummeed ka fasaanaa
Galat hai ummeed ka fasaanaa
Kahin bhi apna nahin thhikaanaa
Na wo hamaare na dil hamaaraa.