Na tum jaano na hum song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Rakesh Roshan. This song was released on 14 Jan 2000.
Kyun chalti hai pavan
Kyun jhoome hai gagan
Kyun machalta hai man
Na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum

Kyun aati hai bahaar
Kyun lut-ta hai karaar
Kyun hota hai pyaar
Na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum

Yeh madhoshiyan, yeh tanhaiyaan
Tasavvur mein hain kiski parchhaiyaan
Yeh bheega sama, umangein jawaan
Mujhe ishq le ja raha hai kahan
Kyun ghum hai har disha
Kyun hota hai nasha
Kyun aata hai maza
Na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum

Dhadakta bhi hai, tadapta bhi hai
Yeh dil kyun achaanak behakta bhi hai
Mehakta bhi hai, chehakta bhi hai
Yeh dil kya wafa ko samjhata bhi hai
Kyun milti hai nazar
Kyun hota hai asar
Kyun hoti hai sehar
Na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum

Kyun chalti hai pavan
Kyun jhoome hai gagan
Kyun machalta hai man
Na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum

Kyun aati hai bahaar
Kyun lut-ta hai karaar
Kyun hota hai pyaar
Na tum jaano na hum
Na tum jaano na hum