Na bhanwara na koyi gul song is from and it is sung by and .It stars Ashok Kumar, Meena Kumari and Pradeep Kumar in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Tarachand Barjatya. This song was released on 09 Sep 1962.
na bhanwara na koyi gul, akela hu main tera bulbul
hai ek tanahayi, meri jan mere jaha me aa
mere jaha me rangobu, kahi par hansi kahi aansu
yeh hi bata saudayi, main yeh jindagi bhula du kya

ulfat ki hai yaha bu bas, man me lagi labo par pyas
man me lagi labo par pyas
chandi sona ho na ho, dil hai apne pas
meri duniya aur hasin hai, yaha danga shor nahi hai
hai ek tanhayi, meri jan mere jaha me aa
na bhanwara na koi gul, akela hu main tera bulbul
hai ek tanhayi, meri jan mere jaha me aa

tera jaha hai jiska nam, gam ki subah dukho ki sham
ho no no no maamuli si bat pe, ladna isaka kam
phir bhi yeh sab hain apne, mil jul kar dekhe sapne