Mujhe deke may mere saaqiyaa, merii tashnagii ko song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
mujhe deke may mere saaqiyaa, merii tashnagii ko havaa na de
merii pyaas par bhii to kar nazar, mujhe maikashii kii sazaa na de
meraa saath ai mere hamasafar, nahiin chaahataa hai to jaam de
magar is tarah sar-e-raah-e-guzar, mujhe har qadam pe sadaa na de
meraa gam na kar, mere chaaraagar, terii chaaraajoii bajjaa magar (???)
meraa dard hai merii zindagii, mujhe dard-e-dil kii davaa na de
main vahaan huun ab meraa naasehaa, ki jahaan kushii kaa guzar nahiin
meraa gam hadon se guzar gayaa, mujhe ab kushii kii duaa na de
voh giraaen shauq se bijaliyaan, yah sitam karam hain satam nahiin
ke voh 'tarz' barq-e-jafaa nahiin, jo chamak ke nuur-e-vafaa na de