Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1968.
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi

Sharma ke munh na pher nazar ke sawaal par

Laati hai aise mod pe kismat kabhi kabhi
Laati hai aise mod pe kismat kabhi kabhi
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Khulte nahin hain roz dareeche bahaar ke

Aati hai jaan-e-man yeh qayamat kabhi kabhi
Aati hai jaan-e-man yeh qayamat kabhi kabhi
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Tanha na kat sakenge jawaani ke raaste
Tanha na kat sakenge jawaani ke raaste
Pesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhi
Pesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhi
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Phir kho na jaayen hum kahin duniya ki bheed mein

Milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi