Mera jo bhi hai tera (title) song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Rakesh Gupta. This song was released on 16 Jun 2017.
Mera jo bhi hai tera
Raatein..din ye savera..
Mera jo bhi hai tera
Raatein..din ye savera..
Har pal beshumaar karun
Pyar bas pyaar karun


Tu hai to rab meharbaan
Meharbaan….
Tu hi to ek jeene ka raasta
Tujhi se meri saannsen hai judi
Jo tu nahi to main bhi nahi…
Mera jo bhi hai tera
Raatein..din ye savera..


Naksh thi main saada saada
Mera tu rangrez hua
Naksh thi main saada saada
Mera tu rangrez hua
Khaali khaali kab se tha main
Mujhme tu labrez hua…
Tujhe ko dhoonde meri aawargi
Hai tere liye meri deewangi
Tu hi tu mujh mein basi
Mere hi liye tu hai bani…
Hubahu tu mujh sa hai
Mera tu aaiina hai
Chaahe jab deedar karun
Pyar bas pyaar karun…


Mera jo bhi hai tera
Raatein..din ye savera..


Talkhiyan na aane denge
Chaahaton ke darmiyaan
Teri aankhon mein padh raha hoon
Main wafa kee surkhiyann
Na chaaha kabhi kuch bhi
Tere siva
Jiya hai bas tujh mein hoke fanaa
Kahe ye hasraten sabhi
Hai khud se bhi zyada yakeen..
Teri maaf har khta hai
Tujhpe jaan bhi ataa hai..
Sau baar ikraar karun
Pyaar bas pyaar karun


Mera jo bhi hai tera
Raatein..din ye savera..