Main ne puuchhaa chaand se song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Asghar Ali, Sanjay Khan, Zarine Khan. This song was released on 26 Sep 1980.
main ne puuchhaa chaand se ki dekhaa hai kahiin
mere yaar saa hasiin
chaand ne kahaa chaandanii kii qasam
nahiin, nahiin, nahiin
main ne puuchha chaand se
khuubsuuratii jo tuune paa_ii
lut ga_ii kudaa kii bas kudaa_ii
miir kii gazal kahuun tujhe main
yaa kahuun kayaam kii rubaa_ii
main jo puuchhuun shaayaron se aisaa dilanashiin
koii sher hai kahiin
shaayar kahe shaayarii kii qasam
nahiin, nahiin, nahiin
main ne puuchhaa chaand se
main ne ye hijaab teraa dhuundhaa
har jagah shabaab teraa dhuundhaa
kaliyon se misaal terii puuchhii
phuulon men javaab teraa dhuundhaa
main ne puuchhaa baag se falaq ho yaa zamiin
aisaa phuul hai kahiin
baag ne kahaa har kalii kii qasam
nahiin, nahiin, nahiin
main ne puuchhaa chaand se
ho chaal hai ki mauj kii ravaanii
zulf hai ki raat kii kahaanii
honth hain ki aa_ine kanval ke
aankh hai ki may_qadon kii raanii
main ne puuchhaa jaam se falaq ho yaa zamiin
aisii may bhii hai kahiin
jaam ne kahaa, may_kashii kii qasam
nahiin, nahiin, nahiin
main ne puuchhaa chaand se