Mai soya ankhiya miche song is from and it is sung by and .It stars Madhubala, Bharat Bhushan and Jeevan in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Bibhuti Mitra. This song was released on 01 Jan 2018.
mai soya ankhiya miche, teri zulfo ke niche
duniya ko bhul diwani, ab raha zamana pichhe
mai soya ankhiya miche

ye kaun hansi sharmaya, taro ko pasina aaya
hirni ki aankhe lekar, dil kaun chura le aaya
dil kaun chura le aaya
mai soyi ankhiya miche, teri baho ke niche
ab chahe kahi bhi le ja, tu aage aur mai pichhe
mai soya ankhiya miche

ye mere nain kuware, teri ankhiya dekh ke hare
ho janam janam ke sathi, meri mang me bhar de tare
meri mang me bhar de tare
mai soya ankhiya miche, teri zulfo ke niche
duniya ko bhul diwani, ab raha zamana pichhe
mai soya ankhiya miche