Maasum chehara yeh kaatil adaaye song is from and it is sung by and .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Padmini Pictures. This song was released on 01 Jan 1962.
maasum chehara ye kaatil adaaye
ke bemaut maare gaye hum bichaare
saagar se gehari tumhari nigaahe
dubo de na hamako ye laakar kanaare
saagar se gehari

huwa samna kya ke sau tir khaye
ajab tir the woh najar bhi na aaye
ajab tir the woh najar bhi na aaye
kya hum pe gujari tumhe kya bataaye
ke bemaut maare gaye hum bechaare
saagar se gehari tumhari nigaahe
dubo de na hamako ye laakar kanaare
saagar se gehari

mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
magar keh rahi hai ye dil ki sadaaye
de na hamako ye laakar kanaare
maasum chehara ye kaatil adaaye
ke bemaut maare gaye hum bichaare
maasum chehara

diya jakhm tumne bada khubsurat
liya daag hamne bada khubsurat
diya jakhm tumne bada khubsurat
liya daag hamne bada khubsurat
salaamat rahein aapki ye jafaayein ke bemaut
maare gaye hum bichaare
saagar se gehari tumhari nigaahe
dubo de na hamako ye laakar kanaare
maasum chehara