Liye sapne nigaahon mein - zindagi aa raha hoon main song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Yash Chopra. This song was released on 12 Jan 1984.
Liye sapne nigahon mein, chala hun teri rahon mein
Zindagi aa raha hun main - 2
Kai yaadon ke chehre hain, kai kisse purane hain
Teri sau dastanen hain, tere kitne fasane hain - 2
Magar ek woh kahani hai, jo ab mujhko sunani hai
Zindagi aa raha hun main
Mere hathon ki garami se, pighal jaayengi zanjiren
Mere kadmon ki aahat se, badal jaayengi taqadiren - 2
Ummidon ke diye lekar, yeh sab tere liye lekar
Zindagi aa raha hun main
Kabhi tujhko gila mujhse, kabhi mujhko shikayat hai
Magar phir bhi tujhe meri, mujhe teri zarurat hai - 2
Main yeh ikraar karata hun, main tujhse pyaar karata hun
Zindagi aa raha hun main