Likh kar tera naam zameen par song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Nand Mirani, Ram B C, Seeroo Daryanani. This song was released on 01 Jan 1976.
Kehna ek deewana teri
Yaad mein aahein bharta hai
Yaad mein aahein bharta hai
Likh kar tera naam zameen par
Usko sajde karta hai x 2
Likh kar tera naam zameen par
Usko sajde karta hai x 2

Chaak girebaan, khaak basar
Phirta hai sooni raahon mein
Phirta hai sooni raahon mein
Saayon ko lipata-ta hai
Aur Laila Laila karta hai
Laila Laila karta hai
Likh kar tera naam zameen par
Usko sajde karta hai x 2

Teri ek jhalak ki khatir
Jaan aankhon mein atki hai
Jaan aankhon mein atki hai
Jee ka aisa haal hua hai
Jeeta hai na marta hai
Jeeta hai na marta hai
Likh kar tera naam zameen par
Usko sajde karta hai x 2

Khud ko bhool gaya hai lekin
Teri yaad nahi bhoola
Teri yaad nahi bhoola
Dil ke jitne zakm hain unmein
Tera hi aks ubharta hai
Tera hi aks ubharta hai
Likh kar tera naam zameen par
Likh kar tera naam zameen par
Usko sajde karta hai x 2
Saayon ko lipata-ta hai
Aur Laila Laila karta hai
Laila Laila karta hai

Kehna mere deewane se
Kehna mere deewane se
Laila teri amaanat hai
Laila teri amaanat hai
Teri baahon mein dum degi
Tu jiska dum bharta hai
Tu jiska dum bharta hai
Dil ke jitne zakm hain unmein
Tera hi aks ubharta hai
Tera hi aks ubharta hai

Sadke jaaoon is kasid par
Jis se yeh paigam mila
Jis se yeh paigam mila
Mera qaatil, mera maseeha
Ab bhi mujh par marta hai
Ab bhi mujh par marta hai
Mera qaatil mera maseeha
Mera maseeha, mera qaatil
Mera qaatil, mera maseeha
Ab bhi mujh par marta hai
Ab bhi mujh par marta hai
Laila, ho Laila, Laila, Laila, Laila