Koii nahiin meraa is duniyaa men aashiyaan barabaad hai song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Amiya Chakrabarty. This song was released on 01 Jan 2018.
chaand ek bevaa kii chuudii kii tarah tuutaa hu_aa
har sitaaraa besahaaraa soch men duubaa hu_aa
gam ke baadal, ik janaaze kii tarah thahare hu_e
sisakiyon ke saaz par kahataa hai dil rotaa hu_aa
ko_ii nahiin meraa is duniyaa men aashi_aan barbaad hai
aansuu bharii mujhe qismat milii hai zindagii naashaad hai
jaa havaa tuu rastaa le apana
qismat hai merii jii ke tadapanaa) -2
aayii hai mere gam pe javaanii
rotii huii ik yaad hai
koii nahiin meraa
suukh chuke hain aankhon ke jharane
luut liyaa hamen daag-e-jigar ne
phuul nahiin ye zakhm khile hain-2
aasamaan saiyyaad hai-2
koii nahiin meraa
mausam dukhon kaa sar par hai chaayaa
mujhase judaa hai khud meraa saayaa) -2
ham hain akele gam ke hain mele
ruuh kii fariyaad hai
koii nahiin meraa