Koi pathar se na maare mere deewane ko song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Nand Mirani, Ram B C, Seeroo Daryanani. This song was released on 01 Jan 1976.
Husn hazir hai muhabbat ki saza paane ko
Husn hazir hai muhabbat ki saza paane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Husn hazir hai muhabbat ki saza paane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Mere deewane ko itna na satao logon
Mere deewane ko itna na satao logon
Yeh to vehshi hai, tumhi hosh mein aao logon
Yeh to vehshi hai, tumhi hosh mein aao logon
Bahut ranjoor hai yeh, gamon se choor hai yeh
Bahut ranjoor hai yeh, gamon se choor hai yeh
Khuda ka kauf khao, bahut majboor hai yeh
Khuda ka kauf khao, bahut majboor hai yeh
Kyun chale aaye ho
Kyun chale aaye ho bebas pe sitam dhane ko
Koi pathar se haan
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Mere jalwon ki khata hai jo yeh deewana hua
Mere jalwon ki khata hai jo yeh deewana hua
Main hoon mujrim yeh agar hosh se begana hua
Main hoon mujrim yeh agar hosh se begana hua
Mujhe sooli chadha do, ke sholon pe jala do
Mujhe sooli chadha do, ke sholon pe jala do
Koyi shiqwa nahi hai, jo jee chahe saza do
Koyi shiqwa nahi hai, jo jee chahe saza do
Baksh do isko
Baksh do isko main taiyar hoon mit jaane ko
Koi pathar se haan
Koi pathar se na maare mere deewane ko
Koi pathar se na maare mere deewane ko

Patharon ko bhi wafa phool bana sakti hai
Patharon ko bhi wafa phool bana sakti hai
Yeh tamasha bhi sareaam dikha sakti hai
Yeh tamasha bhi sareaam dikha sakti hai
Lo ab pathar uthao, zamane ke khudaon
Lo ab pathar uthao, zamane ke khudaon
Tumhein main aazamaun, mujhe tum aazamao
Tumhein main aazamaun, mujhe tum aazamao
Ab dua arsh pe
Ab dua arsh pe jaati hai asar laane ko