Kitna pyara wada hai song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Tahir Hussain. This song was released on 01 Jan 1971.
O Soniye maar sutiya..

Kitna pyara wada
Kitna pyara wada hai
In matwali aankhon ka
Is masti mein soojhe na
Kya kar daalun haal mohe sambhal
O sathiya! O beliya..!

Kitna pyara wada hai
In matwali aankhon ka
Is masti mein soojhe na
Kya kar daalun haal mohe sambhal

Ho ujala ya andhera
Kahin na chhoote haath tera
Koi mera na tere bin
Piya nibhana saath mera
Are kora kora gora gora yeh ang tora haaye
Paagal mohe bana diya

Kitna pyara wada hai
In matwali aankhon ka
Is masti mein soojhe na
Kya kar daalun haal mohe sambhal

Barson maine man jalaya
Mili palkon ki tab yeh chhaya
Kaante mere tan mein toote
Gale se toone tab lagaya
Ho saiyan pyare chalta ja re, bahiyan daare haaye
Garva tohe laga liya

Kitna pyara wada hai
In matwali aankhon ka
Is masti mein soojhe na
Kya kar daalun haal mohe sambhal

Roz utha ke yeh nayanwa
Chhua karungi tora manwa
Jaise pehli baar chaha
Sada chahungi main sajanwa
Haaye tere naina, mere naina
Phir kya kahna haaye
Kya kya na maine pa liya

Kitna pyara wada hai
In matwali aankhon ka
Is masti mein soojhe na
Kya kar daalun haal mohe sambhal
O sathiya! O beliya..!

Kitna pyara wada hai
In matwali aankhon ka
Is masti mein soojhe na
Kya kar daalun haal mohe sambhal
O sathiya! O beliya..!
O sathiya! O beliya..!