Kahe paise pe itna guroor kare hai song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. The music of this song is composed by . This song was released on 22 May 1981.
Char paise kya mile, kya mile bhai kya mile
Khud ko samajh baithe Khuda
Woh Khuda hi jane ab hoga tera anjam kya
Kahe paise pe!
Kahe paise pe itna guroor kare hai
Kahe paise pe itna guroor kare hai
Yehi paisa to!
Yehi paisa to apnon se door kare hai
Door kare hai
Kahe paise pe itna guroor kare hai
Guroor kare hai

Sone chandi ke oonche mehlon mein
Dard zyaada hai, chain thoda hai
Dard zyaada hai, chain thoda hai
Is zamane mein paise waalon ne
Pyar chheena hai, dil ko toda hai
Pyar chheena hai, dil ko toda hai
Paise ki ahmiyat se to inkar nahin hai
Paisa hi magar sab kuchh sarkar nahin hai
Insan insan hai, paisa paisa hai
Dil hamara bhi tere jaisa hai
Hai bhala paisa to bura bhi hai
Yeh zehar bhi hai, yeh nasha bhi hai
Yeh zehar bhi hai, yeh nasha bhi hai
Yeh nasha koi
Yeh nasha koi dhokha zaroor kare hai
Yehi paisa to haan
Yehi paisa to apnon se door kare hai
Door kare hai
Kahe paise pe itna guroor kare hai
Guroor kare hai

Arre chale kahaan
Aye paise se kya kya tum yahan kharidoge
Dil kharidoge ya ke jaan kharidoge
Bazaron mein pyar kahaan bikta hai
Dukano pe yaar kahaan bikta hai
Phool bik jaate hain, khushbu bikti nahin
Jism bik jaate hain, rooh bikti nahin
Chain bikta nahin, khwaab bikte nahin
Dil ke armaan betaab bikte nahin
Arre paise se kya kya tum yahaan kharidoge
Aye dil kharidoge ya ke jaan kharidoge

Hey in hawaon ka mol kya doge
Un ghataon ka mol kya doge
Arre in zaminon ka mol ho shayad
Aasmanon ka mol kya doge

In hawaon ka mol kya doge
Un ghataon ka mol kya doge
In zaminon ka mol ho shayad
Aasmanon ka mol kya doge
Paas paisa hai to hai yeh duniya hasin
Duniya hasin
Ho zarurat se zyada to mano yakeen
Mano yakeen
Yeh dimagon mein
Yeh dimagon mein paida fitoor kare hai
Yehi paisa to
Yehi paisa to apnon se door kare hai
Door kare hai
Kahe paise pe itna guroor kare hai
Guroor kare hai