Jeevan mein pyase ko song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Tulsi Ramsay. This song was released on 01 Jan 1996.
Haan to sahibaan meherbaan
Kadardaan main aa gaya
Aaj mein aapnko ek baat bataunga
Samaj gaye to thik
Na samaje to samjaunga
Baat bade kaam ki hain
Har khaaso aam ki hain
Ajee baat kyaa ek raaz hain
Jis mein soor hain aur saajh hain
Samaj gaye to kahena sabaash
Pyaare humein to thi teri hi talaash
Aaj pooran maashi hain
Uss raaz ka naam talaashi hain


Ho ho ho…ho ho
Haa jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain haan
Jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain
Mujh jaise raaj ko
Ek raani ki talaash hain haan
Murakh aur na samja ko
Gyani ki talaash hain
Marne wale ko
Zindagani ki talaash hain
Garaz hain ye meherbaano haa
Humko tumhari meherbaani
Ki talaash hain haa
Ho jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain


Talaashi ik na ilaaz bimaari hain
Jiske dum par ye duniya jaari hain
Jis din khatam ho jaayegi talaash
Insaan banjayega ik zinda laash kyun ki


Dharti waalo ko
Chaand taaro ki talaash hain haa
Bichhade huye ko
Apne pyaaro ki talaash hain haa
Neeta ko naye naye
Naaro ki talaash hain
Hum besaharo ko
Saharo ki talaash hain
Tuti huyi kashti ko
Kinaaro ki talaash hain
Nazron ki dil kash
Nazaron ki talaash hain
Kanya kunwari ko..
Kanya kunwari ko
Kunwaro ki talaash hain
Kanya kunwari ko
Kunwaro ki talaash hain
Sekadowalo ko
Hazaron ki talaash hain


Bus ab mein thak chuka hoon
Bahot kuch bak chuka hoon


Aankhewale andhe ko
Nigahon ki talaash hain haan
Chor aur chako ko
Ghunaho ki talaash hain haan
Humko to gori gori
Bahon ki talaash hain
Jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain haan


Ye ek heere ki anghuthi hain
Humse kuch kuch ruthi hain
Iss ki kanya turaashi hain
Aur humne hi ye tarashi hain


Iss bechari ko becharo ki talaash hain
Kismat ki maari ko
Aawarao ki talaash hain
Beti sunaar ki haay..
Beti sunaar ki luharo ki talaash hain
Jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain
Mujh jaise raaj ko
Ek raani ki talaash hain


Bus ab mein thak chuka hoon
Bahot kuch bak chuka hoon
Khade khade mein dol chuka hoon


Zindagi aur maut ke beech
Sadiyon se jang jhaari hain
Zindagi hamesa maut se haari hain
Maut ek haqikaat hain
Zindagi fasana hain
Jaante hain ye magar sab
Kisane ye maana hain


Aaj nahi maana to kal maan jaoge
Kyaa samjhe
Maut aur zindagi ka fark
Mere bhaai jaan jaaoge
Isi liye to kaheta hoon


Jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain haan
Jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain
Mujh jaise raaj ko
Ek raani ki talaash hain
Murakh aur na samja ko
Gyani ki talaash hain
Marne wale ko
Zindagani ki talaash hain


Thode kahe ko samachaar samjana
Thode likhe ko taar samja na
Thoda padha akhbaar samjana
Are nahi samje bekaar samjana
Phir se tum ik baar samaj na
Jeevan mein pyase ko
Paani ki talaash hain.