Jab tak hai aakash pe suraj song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Jab tak hai aakash pe suraj
Ganga mein hai paani
Jab tak hai aakash pe suraj
Ganga mein hai paani
Amar rahegi dharti par
Ravidas ki amritvani
Ravidas ki amar kahani
Jab tak hai aakash pe suraj
Ganga mein hai paani
Amar rahegi dharti par
Ravidas ki amritvani
Ravidas ki amar kahani


Chhoti jaati chhoti paati
Chhote kul mein janam liya
Gujri ke is lal ne manavta
Ka yeh sandesh diya
Karm se koi nich nahi
Sab kaam hai achhe kaam
Har manav ke man mandir
Mein rehate hai shri ram
Tabhi to keh gaye sant ke
Prabhuji tum chndan ham paani
Amar rahegi dharti par
Ravidas ki amritvani
Ravidas ki amar kahani


Dharm ke thekedaro ne
Aisa andher machaya
Prem ke badle logo ko
Nafrat ka paath padhaya
Aise yug mein bhi ravidas ne
Sab ko baata pyaar
Ram naam ka mantr diya
Dukhiyo ka kiya uddhar
Bhed bhav ki deewaro mein
Bandh hai jag agyani
Amar rahegi dharti par
Ravidas ki amritvani
Ravidas ki amar kahani


Is mati ka kan kan
Ek din inki katha kahega
Gangan mei jab tak ravi chamke
Ravidas ka naam rahega
Jab jab atyachaar yaha
Seema ko karta pyaar
Is dharti par maha purush
Tb lete hai avtaar
Samay aandhi mita na sakti
Sant ki nirmal bani
Amar rahegi dharti par
Ravidas ki amritvani
Ravidas ki amar kahani
Jab tak hai aakash pe suraj
Ganga mein hai paani
Amar rahegi dharti par
Ravidas ki amritvani
Ravidas ki amar kahani.