Jab chali thandi hawa jab uthi kaali ghata song is from and it is sung by . This song was released on 23 Apr 2014.
Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye

Zindagi ki dastan chahe kitni ho haseen
Bin tumhare kuch nahi
Bin tumhare kuch nahi
Kya maza aata sanam aaj bhoole se kahin
Tum bhi aa jaate yahin
Tum bhi aa jaate yahin
Yeh baharein, yeh fizaa dekh kar o dilruba
Jaane kya dil ko hua tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye

Yeh nazaare yeh sama aur phir itne jawaan
Haye re yeh mastiyan, haye re yeh mastiyan
Aisa lagta hai mujhe jaise tum nazdeek ho
Iss chaman se jaane jaan
Iss chaman se jaane jaan
Sun ke peehi sada dil dhadakta hain mera
Aaj pehle se siwa tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye