Is jeevan ki yahi hai kahani song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Rajesh Khanna, Kusum Nirala. This song was released on 27 Sep 1985.


Is jeevan ki yahi hai kahani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

Phool khile khilkar murjhaaye
Deep jale jalkar bujh jaaye
Is bagiya ki reet yahi hai
Ik rut aaye, ik rut jaaye
Kaise badle reet puraani
Kaise badle reet puraani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

Aane wala pal kehta hai
Jaane wala pal kehta hai
Kaun raha hai, kaun rahega
Koi humesa kab rehta hai
Reh jaati hai yaad nishani
Reh jaati hai yaad nishani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani

Jism ki maut se phir kya darna
Is mitti ka eham kya karna
Duniya mein sab ko na jaane
Kitni baar hai jeena marna
Maut ke baad hai phir zindgaani
Maut ke baad hai phir zindgaani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Is jeevan ki yahi hai kahani
Aani jaani yeh duniya behte dariya ka paani
O behte dariya ka paani