Insaaf ki awaaz song is from and it is sung by .It stars , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by D. Rama Naidu. This song was released on 14 Nov 1986.
Jab saitano ne milkar
Maran maridang bajaya
Iman ko dafnaya aur
Jooth ko taj pahnaya
Kanun kaha soya tha
Insaf kaha khoya tha
Kanun kaha soya tha
Insaf kaha khoya tha
Jab sachai ke sine mein
Khanzar utara jata hain
Jalim logo ke hatho
Jab isha ko mara jata hain


Kanun kaha sota hain
Insaf kaha hota hain
Mang rahi hain
Jawab insaf ki awaz


Kuchh log jahar se jahrile
Jo yari ka dum bharte hain
Dusman se hath milate hain
Yaro se dhokha karte hain
Jo kismat likhte aaye hain
Un hatho ko kya aur mila
Itni mehnat ke badle mein
Unhe maut ka tohfa diya gaya
Mang rahi hain jawab insaf ki awaz
Kanun kaha sota hain
Insaf kaha hota hain


Ye aankhe nahin koi sehra hain
Ek bund nahin hain pani ki
Kismat ne mang mein aag bhari
Aur abhi umar hain jawani ki
Ye atal himalay ke jaisi
Ye aansoo kaha bahati hain
Chahe taj mile ya kafan mile
Ye apna farz nibhati hain
Jab aankhe ro nahin pati
Dil andar andar rota hain
Kanun kaha sota hain
Insaf kaha hota hain
Mang rahi hai jawab insaf ki awaz
Insaf ki awazin saf ki awaz.