Hum aur tum the saathi abhi hai kal ki baat song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by F. C. Mehra. This song was released on 26 Jan 1979.
Aaj safar mein tumne kyon chhod diya mera sath
Hum aur tum the saathi abhi hai kal ki baat
Aaj safar mein tumne kyon chhod diya mera sath

Jalta hai dil main phir bhi khamosh hoon
Jalta hai dil main phir bhi khamosh hoon
Tumse karoon kya shikva, kya dosh doon
Hamare tumhare o hamare tumhare
Armanon ki yeh kaise lut gayi baraat
Aaj safar mein tumne kyon chhod diya mera sath

Kaise hain yeh andhere dhalte nahin
Kaise hain yeh andhere dhalte nahin
Meelon talak ujaale milte nahin
Hamare tumhare, hamare tumhare
Jeevan mein kaise aai yeh andhiyari raat
Aaj safar mein tumne kyon chhod diya mera sath

Jee chahta hai tod doon duniya teri
Jee chahta hai tod doon duniya teri
Marne na de mujhe magar mamta meri
Hamare tumhare o hamare tumhare
Sapne jo sach huye the thaame hai mera hath
Aaj safar mein tumne kyon chhod diya mera sath

Tumne kabhi kaha tha mar ke bhi hum
Tumne kabhi kaha tha mar ke bhi hum
Tumse kabhi na honge door sanam
Hamare tumhare o hamare tumhare
Jeevan ki har dagar pe hathon mein honge hath
Beech safar mein tum kyon chhod chale mera sath