Hasrate barbaad hain song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 1954.
Hasrate barbaad hain
Armaan hamare lut gaye
Hasrate barbaad hain
Armaan hamare lut gaye
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye


Chaandni raaten wo
Chori ki mulaqaate kaha
Khwaab ho kar reh gayi
Wo pyaar ki baaten kaha
Ab andhera aasman hai
Chaand taare lut gaye
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye


Aa ke tujh bin har kadam per
Thokaren khaate hain ham
Bhulne waale kabhi
Tujhko bhi yaad aate hain
Ham aasra tera hai baaqi
Sab sahaare lut gaye ae
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye


Darbadar hain jaise
Ki mera khuda koi nahi
Darbadar hain jaise
Ki mera khuda koi nahi
Dubti kashti hun
Jiska naakhuda koi nahi
Maujen ab royen kaha
Jaakar kinaare lut gaye
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye.