Hamari hi muthi mein song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Sudhakar Bokade. This song was released on 01 Jan 1991.
Hamari hi muthi mein aakaash saara
Jab bhi khulegi chamakega taara
Hamari hi muthi mein aakaash saara
Jab bhi khulegi chamakega taara
Kabhi naa dhale jo woh hi sitaara
Disha jis se pahchaane sansaar saara
Hamari hi muthi mein aakaash saara
Jab bhi khulegi chamakega taara


Hatheli pe rekhaaye hain sab adhuri
Kisne likhi hain nahi jaanana hain
Hatheli pe rekhaaye hain sab adhuri
Kisne likhi hain nahi jaanana hain
Suljaane unako na aayega koyi
Samjaana hain unako yeh apana karam hain
Apane karam se dikhaana hain sab ko
Khud kaa panapana, ubhaarana hain khud ko
Andhera mitaaye jo nanha sharaara
Disha jis se pahchaane sansaar saara
Hamaari hi muthi mein aakaash saara
Jab bhi khulegi chamakega taara


Hamaare pichhe koyi aaye naa aaye
Hame hi toh pahale pahuchana waha hain
Jin par hain chalana nayi pidhiyo ko
Un hi raston ko banaana hame hain
Jo bhi saath aaye unhe saath le le
Agar naa koyi saath de toh akele
Sulaga ke khud ko mita le andhera
Disha jis se pahchaane sansaar saara


Hamaari hi muthhi mein aakaash saara
Jab bhi khulegi chamakega taara
Kabhi naa dhale jo woh hi sitaara
Disha jis se pahchaane sansaar saara
Hamari hi muthi mein aakaash saara
Jab bhi khulegi chamakega taara.