Fauji gaya jab gaon mein song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Jagdsih Kumar. This song was released on 14 May 1975.
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Pehan ke rangroot, full boot paon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein

Pehle logon ne rakha tha mera naam nikhattu
Pehle logon ne rakha tha mera naam nikhattu
Oye do din mein jag aise ghooma
Jaise ghoome lattu ho lattu
Bharti ho kar karnaila Karnail Singh ban baitha
Mera baapu sath mere Jarnail Singh ban baitha
Aate dekha mujhko to sab karne lage salami
Aage peechhe daude chacha chachi, mama mami

Yaaron ne samaan utha kar rakha apne sar pe
Yaaron ne samaan utha kar rakha apne sar pe
Darwaje par baithe the sab
Jab main pahuncha ghar pe
Kas kar poore zor se phir maine salute jo mara
Sabki chhutti ho gayi phir
Maine boot se boot jo mara
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein

Ghar ke andar jakar phir jab maine khola baksa
Ghar ke andar jakar phir jab maine khola baksa
Haye dekh rahe the sab yun jaise
Dekhein jag naqsha

Sabko tha maloom shaam ko khulegi Rum ki botal
Sabko tha maloom shaam ko khulegi Rum ki botal
Sab aa baithe ghar mere
Ghar mera ban gaya hotel
Beech mein baitha tha main
Sab baithe the aaju-baju
Itne mein bandook chali bhai
Gaon mein aaye daaku

Utar gayi thi sabki chhup gaye
Saare dar ke maare
Utar gayi thi sabki chhup gaye
Saare dar ke maare
Main ghar se baahar nikla
Sab mera naam pukarein
Maar ke laathi zameen pe jatt ne
Daakuon ko lalkara
Woh the chaar akela main
Maine chaaron ko mara
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein

Chhod ke apne ghode
Daaku jaan bacha kar bhaage
Chhod ke apne ghode
Daaku jaan bacha kar bhaage
Meri wah-wah karte subah
Neend se log hi jaage
Main kheton ki sair ko nikla
Mausam tha mastana
Raste mein woh mili mera tha
Jis-se ishq purana
Jis-se ishq purana
Khoob sune aur khoob sunaye
Kisse agle pichhle
Haye khoob sune aur khoob sunaye
Kisse agle pichhle
Nikla chaand to hum dono bhi
Khet se baahar nikle
Haye haye mach gaya shor saare gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Ho fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein