Ek din sapne me dekha sapna song is from and it is sung by .It stars and in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Hrishikesh Mukherjee, N N Sippy. This song was released on 01 Jan 1970.
ek din sapne me dekha sapna, kya
arre woh jo hai na amitabh apna, bachchan han
mai amitabh ho gaya, ho sapne me dekha sapna
market se out huwa, logo ko doubt huwa
meri vajah se woh gaya gaya gaya gaya
kismat toh badali, kya kahu really
mai amitabh ho gaya, ho sapne me dekha sapna

daye me hema malini, baye pe jinat aman
samne rekha, pichhe jo dekha
daye me hema, baye pe jinat
samne rekha, pichhe jo dekha, toh kya huwa
ratna khadi thi hath me chhadi thi
dekhte dekhte mai bhag raha tha
dekha mai jag raha tha, ho sapne me dekha sapna ha

ha ek aur yad aaya, sunaau
ek din sapne me dekha sapna
arre woh jo hai na mistar pele apna, cosmos?
kehte khiladi hai, bada anari hai
mere sath match ho gaya, gaya gaya gaya gaya
arre mara jo chhakka toh catch ho gaya
football me cricket, ha kaha na
sapne me dekha sapna, ho sapne me dekha sapna

aur ek, ek din chhoti si dekhi sapni, sapni
woh jo hai naa lata apni
lata ga rahi thi, mai table pe tha
woh mukhde pe thi, mai antare pe tha
tal kaha ,sum kaha, tum kaha, ham kaha
tal kaha ,sum kaha, tum kaha, ham kaha
tirkit dhum nargad dhum
tirkit dhum nargad dhum tum ham tum
lataphat, pataphat, narakat, karamat
ta thai thai ta
ta thai thai ta thaiya thaiya thai
takat dhum takat dhum takat dhnya
sapne me dekha sapna, ho sapne me dekha sapna, ha