Ek din mein sau baar song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by J. Om Prakash. This song was released on 01 Jan 1977.
Ek din mein sau baar karti hoon
Main daddy se pyar karti hoon
Ek din mein sau baar karti hoon
Main daddy se pyar karti hoon
Main daddy se pyar karti hoon
Oh mere baap
Main daddy ke naam se darta hoon
Main daddy ke naam se darta hoon
Main mummy se pyar karta hoon
Main mummy se pyar karta hoon

Hum hanste hain to hansti hai
Mummy aisi hoti hai
Mummy aisi hoti hai
Hum rote hain to roti hai
Mummy aisi hoti hai
Mummy aisi hoti hai
Woh kaanton pe chalti hai
Aur hum phoolon pe sote hain
Daddy aise hote hain
Arre daddy aise hote hain
Subah kaam pe jaate hain
Shaam ko wasap aate hain
Paise khoob kamaate hain
Khel khilone laate hain
Unka intezar karti hoon
Unka intezar karti hoon
Main daddy se pyar karti hoon
Main daddy se pyar karti hoon

Yeh la do, woh la do
Yeh la do, woh la do
Bas mummy ke munh se nikalta hai
Daddy se ghar chalta hai
Daddy se ghar chalta hai
Ghar kis-se chalta hai
Daddy se ghar chalta hai
Daddy ko maalum nahin hai
Daddy ko maalum nahin hai
Kaise choolha jalta hai
Mummy se ghar chalta hai
Mummy se ghar chalta hai
Subah jaag jaati hai
Hum sabko jagaati hai
Rootho ko manaati hai
Roton ko hasaati hai
Main maa ki jaikaar
Main maa ki jaikaar karta hoon
Main mummy se pyar karta hoon
Ek din mein sau baar karta hoon
Main mummy se pyar karta hoon
Main mummy se pyar karta hoon

Kiski beti hai tu
Koi poochhe main keh deti hoon
Main daddy ki beti hoon
Main daddy ki beti hoon
Koyi poochhe ya na poochhe
Main sabse keh deta hoon
Main mummy ka beta hoon
Main mummy ka beta hoon
Arre jhoothi shekhi rehne de
Rok na mujhe kehne de
Mummy se kya pyara hai
Daddy se jag saara hai
Mummy se kya achcha hai
Arre chhod abhi tu bachcha hai
Bachcha baazi maarega
Ja re ja tu haarega
Achcha bata tere daddy kaise hain
Bilkul mummy jaise hain
Bilkul mummy jaise hain
Dekha na tu haar gaya
Khaali tera waar gaya
Main yun hi taqraar karta hoon
Main yun hi taqraar karti hoon
Hum yun hi taqraar karte hain
Hum mummy daddy se pyar karte hain
Hum yun hi taqraar karte hain
Hum mummy daddy se pyar karte hain